Tuesday, March 13, 2018

03 - English to Urdu Sentences | Learn English Through Sentences

1. Moiz is playing cricket.
[Moiz cricket khel raha hai.]
1. The boy is playing cricket.
[Woh larka cricket khel raha hai.]
("THE" ka istemal hum kisi makhsoos shaks ya cheez ki traf ishara karne k liye karte hain.
Moiz ek larka hai. Larke ko English me "BOY" kehte hain. Baaz dafa hum kisi shaks ya cheez ka asal naam lene k bajaey ussay doosre aam naam (general noun) se mukhatib karte hain. Lihaza uper k sentence me Moiz ka naam lene k bajaey ussay "BOY" keh kar mukhatib kiya gaya hai. Our yahan "THE" ka istemal is liye kiya gaya hai kyu k pata chalay k hum kisi makhsoos larke k baray me baat kar rahe hain, yani hum moiz k baray me baat kar rahe hain. "The boy" yani "Moiz" ] 


2. Moiz and Mubeen are playing cricket.
[Moiz our Mubeen cricket khel rahe hain.]
2. The boys are playing cricket.
[Woh larkay cricket khel rahe hain.]


3. Munni is playing ludo.
[Munni ludo khel rahi hai.]
3. The girl is playing ludo.
[Woh larki ludo khel rahi hai.]


4. Munni and Guddi are playing ludo.
[Munni our Guddi ludo khel rahi hain.]
4. The girls are playing ludo.
[Woh larkiyan ludo khel rahi hain.]


5. Salman Khan is playing football.
[Salman Khan football khel raha hai.]
5. The Man is playing football.
[Woh Admi football khel raha hai.]



6. Salman Khan and Shahrukh Khan are playing football.
[Salman Khan our Shahrukh Khan football khel rahe hain.]
6. The men are playing football.
[Woh Admi football khel rahe hain.]



7. Karina is cooking biryani.
[Karina biryani paka rahi hai.]
7. The woman is cooking biryani.
[Woh aurat biryani paka rahi hai.]


8. Karina and Karishma are cooking biryani.
[Karina our Karishma biryani paka rahi hain.]
8. The women are cooking biryani.
[Woh aurtain biryani paka rahi hain.]


play: khelna
girl: larki
girls: larkiyan
boy: larka
boys: larkay

No comments:

Post a Comment